Friday, September 14, 2007

Yaad aayi mujhe ghar ki.....


Yaad aayi mujhe ghar ki
Apne Hyderabad ki yaad aayi
Mere ghar, mere apne, mere logon ki yaad aayi
Is mahine mein, wahan ke dinon ki yaad aayi


Wajood hai mera mere ghar se bandha hua abhi tak
Us gali, woh sadak, us mod ki yaad aayi
Ghar ke paas chaiwale ki dukaam yaad aayi

Mere ghar, mere apne, mere logon ki yaad aayi
Apne Hyderabad ki yaad aayi


Koi apna nahin mila is paraae watan mein mujhe
Meri Naani ke lad-dulaar ki yaad aayi
Maa ke haath ki bani Biryani ki yaad aayi
Roti mili to yahaan pe, khaya bhi maine usko, dil ko raas tab bhi ghar ki roti yaad aayi

Mere ghar, mere apne, mere logon ki yaad aayi
Apne Hyderabad ki yaad aayi


Yahaan ke phoolon mein wahin ki mehak yaaad aayi
Koel ke chehekne mein wahin ki awaaz yaad aayi
Bachchon ko yahan dekha to wapas apne School ki yaad aayi
Badhon ko dekhta to maa baap ki yaad aayi

Mere ghar, mere apne, mere logon ki yaad aayi
Apne Hyderabad ki yaad aayi


Rehta hoon yahaan par, basera hain yahin par
Dil hai mera abhi bhi mere ghar mein, gaya na tha woh kabhi usko chhodkar
Watan hai mera kahin aur lekin, mann lagta nahin kahin aur mera
Jahaan apna dil paao, wahin ko Afroz apna ghar paao

Mere ghar, mere apne, mere logon ki yaad aayi
Apne Hyderabad ki yaad aayi


Khoon khaul utha mera, Bomb ki qabar sunkar
Beeson jo bekasoor mare unki yaad aayi
Jiska javaan beta shaheed hua, us boodhi maa ki yaad aayi
Mecca Masjid, Lumbini Park ki yaad aayi

Mere ghar, mere apne, mere logon ki yaad aayi
Apne Hyderabad ki yaad aayi


Kahoon aur isse badkar kya main
Do guz zameen na mili kuh-e-yaar mein !!